Monday, February 28, 2011

antim satya

Ganga-ghat Manikanika par

kab lapate dam leti hain

ek bhuji to raakh bani fir

duji dhoo dhoo karti hain



antim satya yahi jeevan ka

sab raakh raakh ho jaayega

kya lekar tu aaya tha aur

kya lekar tu jaayega ?



rishate naate tere banaye

tune sajaaya ghar sansaar

kinkartavya vimood hua kyun

bhool gaya kya Geeta saar ?



aisa kya tha daav pe tere

jo paason se haar gaya

chausar teri daav bhi tera

kaun tujhe fir maar gaya??



jis din raahi dekh sakega

antar mein sab paa lega

ashroo nahi honge aankhon mein

hans lega tu gaa lega



chalata ja ke chalana jeevan

jeevan ka tu hissa hai

ek adhoori kavita ka tu

chota sa ik kissa hai



jod tod ginati gadna mein

samay vyarth na kar raahi

chalata ja tu aage aage

ginata hai sab eeswar raahi

No comments:

ऐसे भी तो दिन आयेंगे

 ऐसे भी तो दिन आयेंगे, बिलकुल तनहा कर जाएँगे रोयेंगे हम गिर जाएँगे, ख़ामोशी में पछतायेंगे याद करेंगे बीती बातें ख़ुशियों के दिन  हँसती रातें...